Thursday, November 10, 2011

Imran's poem from Zindagi na milegi dobara!


Jab jab dard ka baadal chaya
Jab gham ka saya lehraya
Jab ansu palko tak aya
Humne dilko ye samjhaya dil akhir tu kyu rota hai. 


Duniya mei yu hi hota hai
Ye jo gehre sannate hai, 
waqt ne sabko hi bante ha.
Thoda gham hai sab ka kissa
Thodi dhup hai sabka hissa


Aankh teri bekar hi nam hai
Harpal ek naya mausam hai,
Kyu tu aise pal khota hai
Dil akhir tu kyu rota hai.

-Courtesy Javed Akhtar.

No comments:

Post a Comment